Hmmm...kuch log mere iss title ko shayad maa Kaali ke tarah pronounce kare par let me tell u guys...this is just kali(bud).
Mere liye kali ka matlab hai ladki...par sirf kali kyun....mere hisab se kali isiliye kyunki wo kabhi bhi khil nahin pati,kabhi apni baaton ko bol nahin pati aur jab bolti hai toh uski awaaz ko daba diya jata.
aisa kyun ki jab kisi ke aangan mein ladki ka janam hota hai toh sabse pehle khayal ata hai "shaadi ka".
Kya koi ladki bina shaadi ke..independently nahin reh sakti????
shayad nahin kyunki usko aisa jeene ka hakk nahin hai....pata hai kyun ??? Kyunki uska sath dena wala koi nahin hota.
Jab hum ladkiyan apne decisions ko samjhane layak hoti hai, tab usse shaadi ke andhkar ke tale daba diya jaata hai..fir wo dabti chali jati hai
bachpan se wo apne waalid ka karz utarti hai aur shaadi ke baad apne shohar ka....
bas inhi karz ke tale wo khil nahi pai aur jab khilti hai toh zamana usse tarah tarah ke ilzam ke tale daba deti hai
kafi sochne ke baad meine iss darrd ko apne shayari mein utara hai
"zindagi se maut tak ke safar mein,
utaarti rahi wo karz har kisi ka,
kali thi wo khil na saki,
aur sehhti rahi ilzaam zamane bhar ka"