Pages

Monday, February 1, 2010

Wo Ek Pal....

AAj ke ek nayi subah thi mannat ki zindagi mein....aj ek nayi kiran ke sath wo apne college ja rahi thi.Roz wo 9 baje tak hi
colege phuncti thi..aur Sameer thik 9:15 baje ata tha,par pata nahin kyun aaj wo panderaah minute usse ek ghante ke jaise lag
rahe the. Finally wo usse ata dikhayi diya.aaj usse dekh kar ek alag hi chamak thi uski aankhon mein,kyunki shayad abhi abhi
wo apne haale dil ke zubaan samjh payi thi.Badi si muskaan ke sath aaj usne usko "hi" bola. Wo bhi bada khush tha.......yeh
dekh kar use heraani hui...use laga ki kahin uske mann mein bhi toh aisa kuch nahin hai.Bas fir kya tha yeh pagal awara dil
ne kiya connection dimag ke sath aur sapne dikhane laga unn aakhon ko.ek dum se usne kuch bola...."yar wo aa gayi"...mannat
ne peeche mud kar dekhaa,dusari course ki ek student ja rahi thi...achanak se sameer ki aankhon mein bhi usse wahi chamak
dikhai dii jo kuch derr pehle uski aankhon mein thi.
usski muskaan mayusi mein badal gayi...achanak se wo subah jisme ek nayi kiran thi wo ab ek chubhati roshani ki tarah uskii
aankhon ko pareshaan karne lagi.
Class ka time ho gaya tha.Uska jaane ka mann nahin tha,par kya karein kya batayegi wo wajah. Mann haar ke usse classes attend
karni padi.Ek..ek karke saare lectures ho chuke the,wo usse bye bol kar ghar chali gayi.Ghar jakar usse mann bahut hua ki
royee...kyunki uski kahani shuru hone se pehle khatam ho gayi thi....jaise kisi phool ko khilane se pehle hi masal diya ho.
Wo ro bhi nahin payi...kya kehti wo sabse ki kyun ro rahi hai....apne aansun ko wo peeti chali gayi.

Aaj uske liye sona bahut mushkil tha...kab subah hui usse pata na chala.

Achanak se phone ki ghanti baji.."aaj tum ayi kyun nahin,pehle bata diya hota mein bhi nahin ata"...yeh sameer ki awaz thi...
aj usse uss awaz se nafrat se ho rahi thi..bade hi dheeme awaaz mein kaha ki mein aur 3-4 din nahin aungi,bas itna kehte hi
usne phone rakh diya kyunki use malum tha ki wo usse wajah puchega.

Yeh ehsaas usse andar hi andar khaye ja raha tha,usne himmat ki aur 4 din ke baad college ayi,wo wahin khada tha.."finally
madam aa gayi and tune mere phn kyun nahi uthaya".Wo kuch na keh saki aur boli "kisi se baat karne ka mann nahin tha".Usne
aage kuch nahin pucha...par kyun??????? Aj tak kabhi aisa nahin hua tha,usse samjh nahin aya...wo shayad bahut pareshaan tha...
kuch derr ke baad usse pata chala ki wo bhi aj 3 din ke baad college aya tha,"PAR KYUN????"

Usne pucha sameer se ,toh usne bataya ki usne uss ladki ko propose kara but usne mana kar diya...yeh sunn kar mannat ke
chehre par ek alag chamak aa gayi thi,...par... ,kya yeh sahi tha??
usko chahne se pehle wo uska dost tha..jab sameer ko uski sabse zyada zarurat thi tab wo uske sath nahi thii,shayad mannat ko
yeh ehsaas tha ki usne kafi galat kiya tha.

Aaj jab college khatam hone wala hai tab wo dono bahut ache dost hai...
Mannat ab usse sirf apne ache dost ki tarah dekhti thi...par shayad uske mann mein aj bhi kahin wo pyar chupa hai,jisse usne
apne dil mein daba rakha hai ek gehare raaz ki tarah.

Aaj unki dosti ko 10 saal ho gaye hai.........

Aaj bhi wo usse waise hi dekhna pasand karti hai...par wo usse shayad zindagi mein kabhi nahin bateygi wo uska pehla ehsaas..
uss pehle pal ke baare mein jab usko uss pyar ka aakhaaz hua tha
Umar bhar Sameer bhi usse sirf usse dost hi manega chahe kitni baar bhi uss pyar ke toofan mannat ke mann chale ho
Isiliye toh Mannat apne uss Dard mein bhi khush hai.....



"ek rishta banane ke liye chahiye hota hai 2 pal ka sath
aur usko nibhane ke liye jeevan bhar ka sath"

"aisi hi ek rishte kii chah thi mere maan mein
jisko tumne bulaya dosti aur humne diya usse pyar ka naam"

6 comments:

  1. immature girl...kahan tu apni life ki dastan toh bayan nahi kar rahi

    ReplyDelete
  2. heheh thats a secret tarun...find it out

    ReplyDelete
  3. Hey common..bahut logo ne kaha yeh meri story hai...plz mein bevakoof toh hun nahin ki apni story yahan likhungi.
    This is a very common story..jo har dusri lakdi ke life mein hota hai and meri bahut frnds ke sath ho chuka hai :P

    ReplyDelete
  4. Superb!! No more words to explain.. keep writing..

    ReplyDelete