Pages

Thursday, February 25, 2010

Pukaar

Holi ka din tha,suhana mausam..har jagah masti mauj ho raha tha lekin uski aankhein toh thami thi uske ghar ki taraf...
Lehar abhi 12th class mein thi...board sir par tha lekin wo toh bas uski ek jhalak dekhne ke liye bethi thi apni kamare ki khidki par.

Wo roz padne ata tha apne terrace par..."Ajj pata nahin kyun nahin aya" bas yehi soch rahi thi wo,ki aisa kya hua,fir socha ki shayad wo holi manane mein laga hoga.

Lehar ko holi bilkul pasand nahin thi..isiliye toh wo apne kamare mein band bethi thi....achanak se uska dhyan palta aur dekha ki wo apne doston ke sath upar aya.

Uske chehare par holi ka rang dekh kar lehar ka bhi mann kiya holi khelne ka,par yeh kya wo toh neeche chala gaya????
Kyun,kisliye...aj tak 17 saalon mein wo kabhi nahin aya tha neeche..par shayad aj kuch alag tha.

Fir kya tha lehar ne turant apni dost ko phone lagaya...bade ruthne manane ke baad uski dost maan gayi.

Lehar sirf usko dekhne ke liye ,usse rang lagane ke liye hi holi manane ayi thi.

Par yeh kya,"yahan toh nahin hai",uski dost palak boli.Lehar ki aankon mein mayusi chha gayi,achanak se use wo dikha.........par ek ladki ke sath,dono bade khush the..itne mein awaaz ayi "bhabhi ji rang laga lo na bhaiya ke hatho" yeh sun lehar ke dil ke tukade ho gaye,mano kisi ne usse apne sapne se jaga diya ho.

Badi udaas mann ke sath wo wapis ghar chali gayi aur yehi socha





"barso dube rahe unke pyar mein jinko tha na yakeen hamare hi ikraar par,
ab toh bas iss dil ko talash hai unn nazaro ki jo aakar thamegi hamare ek pukaar par"

2 comments:

  1. matlab tune apni holi khidki par baith kar manayi hai... :P

    ReplyDelete
  2. abey chal meine toh holi achi tarike se manayi hai mein iss ladki ki tarah nahin hun :P

    ReplyDelete