Pages

Monday, January 11, 2010

Kali

Hmmm...kuch log mere iss title ko shayad maa Kaali ke tarah pronounce kare par let me tell u guys...this is just kali(bud).
Mere liye kali ka matlab hai ladki...par sirf kali kyun....mere hisab se kali isiliye kyunki wo kabhi bhi khil nahin pati,kabhi apni baaton ko bol nahin pati aur jab bolti hai toh uski awaaz ko daba diya jata.

aisa kyun ki jab kisi ke aangan mein ladki ka janam hota hai toh sabse pehle khayal ata hai "shaadi ka".
Kya koi ladki bina shaadi ke..independently nahin reh sakti????

shayad nahin kyunki usko aisa jeene ka hakk nahin hai....pata hai kyun ??? Kyunki uska sath dena wala koi nahin hota.
Jab hum ladkiyan apne decisions ko samjhane layak hoti hai, tab usse shaadi ke andhkar ke tale daba diya jaata hai..fir wo dabti chali jati hai

bachpan se wo apne waalid ka karz utarti hai aur shaadi ke baad apne shohar ka....
bas inhi karz ke tale wo khil nahi pai aur jab khilti hai toh zamana usse tarah tarah ke ilzam ke tale daba deti hai

kafi sochne ke baad meine iss darrd ko apne shayari mein utara hai

"zindagi se maut tak ke safar mein,
utaarti rahi wo karz har kisi ka,
kali thi wo khil na saki,
aur sehhti rahi ilzaam zamane bhar ka"

8 comments:

  1. Bahut achhe. Apki Lekhni ki kala ki tarif karta hoon, Lekin main apki soch se sehmat nhi hoon. Adhikar aur kartavya sabke pas hai, Bas unke dhang me thoda sa fark hota hai, Ladkon ki bhi apni pareshaniyan aur zimmedariyan hoti hain. Magar ye alag bat hai k sabko apni takleef jyada lagti hain. Aur dusri bat ki, Kudrat ne takatwaron ko hi Shasak banaya hai, is not it?

    ReplyDelete
  2. Hmmm...Shayar to hum bhi hai mere dost.

    jamane ke riwajo me dhalti gayi wo kali,
    jamane ki chah thi, isliye khil na saki wo kali,
    unmukt akash ki chah thi, par jamane ki rasamo tale dabti gayi wo kali,
    jamane ke taano ki parawa thi, isliye khilne ki koshish bhi na kar saki wo kali.

    ReplyDelete
  3. waah waah waah
    kya baat hai ji
    well said

    ReplyDelete
  4. Well first of all, even thou I like what you wrote I don't agree with you. What you wrote could have been totally true 50 years back but not now. Considering today's world infact just by taking your example only, I can say you really under estimated 'Kali'

    Now the serious thing, Even thou I trust the fact that you wrote this yourself, I wonder why so much urdu content... :P :P :P

    ReplyDelete
  5. aap ke is andazee baya pe mai kuch arz karna chahti hu
    "har yug mai usse dabaya gaya
    usko bahut sataya gaya
    aab aur nahi sahegi woh
    naye daur ki nari hai
    aab khilke rahegi woh"

    ReplyDelete
  6. hmm
    insha allah

    bahut khub
    ab ayi hai raunak iss mehfill mein guzarish hai logo se ki isse kayam rakhe

    ReplyDelete
  7. nicely expressed

    but i dont agree on this... yes this is true in some parts of the society; but we cnt even imagine what these "kalis" go through... i wont comment on that

    the part of society i know - i accept there are responsibilities; pressures; expectations.. but its a choice - either feel burdened or tackle it gracefully.. how - shall let u know later; if i am able to do that;)

    its ok to live as a single girl; but it should be choice; not out of the urge to prove or to show people "I dont need any-one". We all belong to a society where we are respected for our choices and decisions... its not important to get married for being happy and successful...

    but I feel marriage completes you as a person; not that its being imposed of you..

    bachpan se wo apne waalid ka karz utarti hai aur shaadi ke baad apne shohar ka....
    bas inhi karz ke tale wo khil nahi pai aur jab khilti hai toh zamana usse tarah tarah ke ilzam ke tale daba deti hai

    i believe; its not the debt we repay; rather we all have it in us to give :) we are full of emotions that we give so much to or parents and our spouse and then kids :)

    i wont term it as repaying; rather i'l be proud if i am able to do that :) yes there will be problems; hurt; unfulfilled expectations... but we also fail to see other side of a coin

    im sure its equally difficult for a man to fulfill so many roles of a son, husband and father... but poor men; God hasn't given them the power to express; as he has blessed us women :D
    so that pain never comes out :D

    ReplyDelete