Pages

Thursday, January 14, 2010

kuch purani yaadein......

Yeh kuch shayari hai jo meine peechle saal likhi thi...kuch doston ne shayad inn par pehle gaur farmaya ho....


"Aankh Khuli toh ek gualb ko apne kareeb paya,
saapna nahin hakeekat hai yeh jab uske kaaton ko apne seene mein dafan paya"



"Har roz khelte the juan zindagi ka
bas isi ek ummeed pe ki kabhi badalegi hamari duniya unke ik ikraar se..

din beetein......saal beetein...........waqt yeh kaisa aya
ki khud umeed ne dastak de kar kaha ki
aee musafir khel tha yeh zindagi ka jo tu haar gaya ab toh yeh janasa khada hai teri
hi umeed pe"

9 comments:

  1. Wah Wah ....

    I have read the first two stanzas earlier...

    But the last one seems (initially ofcourse) to be inspired from the Bodhitree Song "Sabka Katega" :P

    Anyhow now you have a good blog that doesn't means that you would stop Visiting your friends :'(

    ReplyDelete
  2. arey for sure...and thanks for the compliment and btw i m not inspired by any song..its my own experience and the others exp too :P

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye degree bhi lelo ye naukari bhi lelo
      Bhale chahe lelo mujhse U.S ka Visa...

      magar mujhe lautado college ka canteen
      vo kam chaay ka pani vo tiKha samosa...

      college ki sabse purani nishani
      vo chay-wala jise saare kehte the jaani...

      vo jaani ke haathon ki 'cutting' chaaya meethi
      vo chupke se journal mein bheji hui chitthi...

      vo padhte hi chitthi uska til-milana
      vo chehre ki laali vo aankhon ka gussa...

      kadi dhup mein apne ghar se nikalnaa
      vo project ki khatir sheher bhar bhatak na...

      vo lecture mein dostonki proxy lagana
      vo SIR ko chidhana vo aeroplane udana..

      vo submission ki ratonko jagna jagaana
      vo viva ki khahani vo practical ka khissa....

      bimaari ka detention ke time bahana
      vo dusaron ke assignments ko apna banana...

      vo seminar ke din pairon ka chat-patana
      vo workshop mein din raat pasina bahana...

      vo exam ke din ka bechain maahaul
      par vo maa ki mohabbat teachar ka bharosa...

      college ki wo lambisi ratein
      vo dostonse katte pe pyaarisi baatein...

      vo gathering ke din ka ladna jhagadna
      vo ladkiyonka yun hi hamesha akadnaa...

      bhulaaye nahi bhul sakta hain koi
      vo college, jivan ka ek atoot hissa......

      Koi to lauta do mujhe wo guzra zamaana!!

      Delete
  3. very nice shivani...atleast you have a alternate carreer option :)..keep it up..

    ReplyDelete
  4. heavy dose senti.. but you hv used good expressions to bring the pain

    im waiting for some romantic-mushy shayari :)

    ReplyDelete
  5. Hi Shivani



    Ye degree bhi lelo ye naukari bhi lelo
    Bhale chahe lelo mujhse U.S ka Visa...

    magar mujhe lautado college ka canteen
    vo kam chaay ka pani vo tiKha samosa...

    college ki sabse purani nishani
    vo chay-wala jise saare kehte the jaani...

    vo jaani ke haathon ki 'cutting' chaaya meethi
    vo chupke se journal mein bheji hui chitthi...

    vo padhte hi chitthi uska til-milana
    vo chehre ki laali vo aankhon ka gussa...

    kadi dhup mein apne ghar se nikalnaa
    vo project ki khatir sheher bhar bhatak na...

    vo lecture mein dostonki proxy lagana
    vo SIR ko chidhana vo aeroplane udana..

    vo submission ki ratonko jagna jagaana
    vo viva ki khahani vo practical ka khissa....

    bimaari ka detention ke time bahana
    vo dusaron ke assignments ko apna banana...

    vo seminar ke din pairon ka chat-patana
    vo workshop mein din raat pasina bahana...

    vo exam ke din ka bechain maahaul
    par vo maa ki mohabbat teachar ka bharosa...

    college ki wo lambisi ratein
    vo dostonse katte pe pyaarisi baatein...

    vo gathering ke din ka ladna jhagadna
    vo ladkiyonka yun hi hamesha akadnaa...

    bhulaaye nahi bhul sakta hain koi
    vo college, jivan ka ek atoot hissa......

    Koi to lauta do mujhe wo guzra zamaana!!

    ReplyDelete
  6. Aankho me arman diya karate hai,
    Ham sabki Neend Chura liya karate hai,
    Ab jab jab aapki palke Zukengi,
    Samaj lena ham aapko yaad kiya karate hai.

    kaash wo nagme humein sunaye na hote,
    aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,

    agar is tarah bhul jaana hi tha,
    to itni gehrai se dil mein samaaye na hote..

    Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai,
    Nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai,
    Tere bina zindagi mein kami toh nahi,
    Phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai

    Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
    Iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
    Kisi tarah zikar ho jaye unka,
    To hanss kar bheegi palkein jhuka lete hain.

    Tapan suraj se hoti hai,
    Tapana Zameen ko padta hai,
    Mohabbat Ankho se hoti hai,
    Tadpana dil ko padta hai.

    Bhula kar hame wo khush reh payenge
    sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
    Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
    Hum to seh gaye par wo toot jayenge!

    Tanhai jub muqaddar mein likhi hai,
    To kia shikayat apnon aur bayganon se,
    Hum mit gaye jin ki chahat main,
    Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se.

    Lamha Lamha ye waqt gujar jayega
    Bas khuch hi ganto baad naya saal ajayega
    Isliye Abhi se naye saal ki badhai lelo
    Warna Bazi koi aur mar jayega.

    Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
    Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
    Unko pasand thi roshni,
    Aur maine khud ko hi jala diya.

    Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
    Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
    Bikharta to har koi hai dard me,
    Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai.

    ReplyDelete