Friday, January 29, 2010
Raahein.......
unki raahon se judegi rahein apni,
bas isi intezaar mein hum chalte chale gaye
raah mein aye jaane kitne kaatein,
unko hum haste haste sehate chale gaye
socha na tha ayenge hum bhi uss maukaam par,
jahan se unki raahein humse khafa hokar badal gayii
Vishwas tha uss pathar ki murat par,
isiliye ussi aas mein chalte chale gaye
aakar thami hamari raahein wahan par,
jahan se khuda ne farmaya
milna na mumkin iss janam mein,
toh dusri janam ki aas mein uss,
khuda ke hokar chale gaye
Wednesday, January 27, 2010
आशायें
उस आस्मान को छुने कि थी चाह मेरी
पर कभी धरती ने चोडा ही नहीं जान मेरी
बस इसी किछा तानी के चक्रव्युह मै
बेहती चली हवा के दिशा मै
उन दिनो फेल रहा था Engg और Doctari का Virus
पर छु नहीं पाया ये virus , क्योकीं दिमाग मै Immunity का था रिश्ता Direct
फिर सोचा की कैसे छू उन उचाइयों को
फिर धरती मां ने पुकारा हमको
कि bachelor है तु बेटी और Science के पहुन्च से ही छु पायेगी उस आस्मान को
फिर मैने ठानी कि करूगीं मै Bachelor of Science लेकिन एक Spyware को साथ पकडे
Spyware का था नाम Computer जिसमें मै होती थी फैल जम्के
पर क्या करै,दिमाग था इतना Immune कि और कोई Option छु नहीं पाया हमें
३ साल बाद सोचा कि चलो कर ली तय मैने यह Suffer
पर बाहर निकली तो मिलि MBA,MCA की डगर
सोचा कि कैसे तोडू इस चक्रव्युह को
क्योकीं जाना था मुझे आराम करने
पर हम बेचारे science के बच्चे
तयाग दिया था आराम का मोह हमने जिस दिन चुना था science stream हमने
कुछ फोर्म्स लिये, उन फोर्म्स को जब अजमाया तो हो ना सका किसी भी कोलेज मैं मेल
फिर एक दिन अन्ध्कार छाया और बिजली कड्की और हुई अकाश्वानि कि बेटी तेरी तप हुई पुरी
जा चली जा उस spyware के masters मैं जहां से पुरी होगी चारो धाम कि यात्रा तेरी
२ साल के बाद निकली तो पता चला की आकाश्वानि बाबा का हो गया था Retirement और unke भाईचारे से
छा गया थ Reccession
दर दर के ठोकरे थी मेरी नस्सीब मैं
फिर जाकर मीली एक नौकरी मुझे एक कम्पनी मैं
उसी के सहारे कट रही है जिन्दगी मेरी

Sunday, January 17, 2010
Wo atoot rishta
Ek baar ek chothe se masum se bache ne bhagwan se pucha ki "bhagwan ji dost kaun hote hai aur kisse kehte hai".... to iss par bhagwan hasse aur bole "ki jab tumhare jaisa koi dusra chotha bacha musibat mein hota hai aur jab mein uski madad ke liye jata hun toh tumhare pass dost chod jata hun taki tumhe akela na mehsus ho"
"Dost wo hota hai jo hume hamare dukh sukh mein sath deta hai....chahe yeh duniya kitna bhi ruth jaye wo kabhi nahin ruthta.......isi ka naam DoSt hota hai...inhi ke sath hota hai hamare atoot rishta...."
"Raah mein chalte chalte kuch log mil jate hai,
kuch milne ke liye bichadte hai,
kuch bichadne ke liye milte hai,
bas sath reh jate hai DOST"
"waqt ke iss safar mein kuch yaadein sath rehti hai,
kuch yaadein dhundali pad jati hai,
bas inhi kuch yaadon ko taaza rakhne ke liye hote hai DOST"
"jab wo khuda bhi khafa ho jata hai,
jab yeh duniya ruth jati hai,
tab yeh rishta hi toh hamara sath nibhata hai,
inhi ko hi toh kehte hum DOST"
Thank u all my friends for being in my life....
Thursday, January 14, 2010
kuch purani yaadein......
Yeh kuch shayari hai jo meine peechle saal likhi thi...kuch doston ne shayad inn par pehle gaur farmaya ho....
"Aankh Khuli toh ek gualb ko apne kareeb paya,
saapna nahin hakeekat hai yeh jab uske kaaton ko apne seene mein dafan paya"
"Har roz khelte the juan zindagi ka
bas isi ek ummeed pe ki kabhi badalegi hamari duniya unke ik ikraar se..
din beetein......saal beetein...........waqt yeh kaisa aya
ki khud umeed ne dastak de kar kaha ki
aee musafir khel tha yeh zindagi ka jo tu haar gaya ab toh yeh janasa khada hai teri
hi umeed pe"

Monday, January 11, 2010
Kali
Hmmm...kuch log mere iss title ko shayad maa Kaali ke tarah pronounce kare par let me tell u guys...this is just kali(bud).
Mere liye kali ka matlab hai ladki...par sirf kali kyun....mere hisab se kali isiliye kyunki wo kabhi bhi khil nahin pati,kabhi apni baaton ko bol nahin pati aur jab bolti hai toh uski awaaz ko daba diya jata.
aisa kyun ki jab kisi ke aangan mein ladki ka janam hota hai toh sabse pehle khayal ata hai "shaadi ka".
Kya koi ladki bina shaadi ke..independently nahin reh sakti????
shayad nahin kyunki usko aisa jeene ka hakk nahin hai....pata hai kyun ??? Kyunki uska sath dena wala koi nahin hota.
Jab hum ladkiyan apne decisions ko samjhane layak hoti hai, tab usse shaadi ke andhkar ke tale daba diya jaata hai..fir wo dabti chali jati hai
bachpan se wo apne waalid ka karz utarti hai aur shaadi ke baad apne shohar ka....
bas inhi karz ke tale wo khil nahi pai aur jab khilti hai toh zamana usse tarah tarah ke ilzam ke tale daba deti hai
kafi sochne ke baad meine iss darrd ko apne shayari mein utara hai
"zindagi se maut tak ke safar mein,
utaarti rahi wo karz har kisi ka,
kali thi wo khil na saki,
aur sehhti rahi ilzaam zamane bhar ka"

Hieee
Hiee alll
Bahut sochne aur smajhane ke baad meine socha aur smajha ki smajhdari isi mein hai ki hum apni sochne aur samjhane ki iss talent ko aapke soch tak pahunchaa sake taki aap log bhi samjhdaar ho jaye.............
Yeh meine kisi se cut copy paste nahin kiya hai ...
aaj tak logo ne kaha ki hum jo likhte hai wo kahin se churaya hua hota hai toh bas isi shak ko khatam karne ke liye meine yeh blog start kiya taki hamara apna copyright ho sake apni shero-shayari mein aur isliye apna blog ka naam mein
Shaan-e-shayari
rakha hai
aadab-e-arze
:)
Subscribe to:
Posts (Atom)