Khawab dekha tha jo humne shayad wo tut gaya...
jeete the jiske yaadon mein shayad wo chuth gaya.....
"Har roz khelte the juan zindagi ka
bas isi ek ummeed pe ki kabhi badalegi hamari duniya
unke ik ikraar se..din beetein...saal beetein...
waqt yeh kaisa aya
ki khud umeed ne dastak de kar kaha
ki aee musafir khel tha yeh zindagi ka jo tu haar gaya
ab toh yeh janasa khada hai teri hi intezaar mein"
"unki khushi mein chahte the hum bhi khush hona
par kya karein chupa na sake apna dard aur
chalka diye aansun inn palko ne unko kisi aur ka hota dekh kar"
Holi ka din tha,suhana mausam..har jagah masti mauj ho raha tha lekin uski aankhein toh thami thi uske ghar ki taraf...
Lehar abhi 12th class mein thi...board sir par tha lekin wo toh bas uski ek jhalak dekhne ke liye bethi thi apni kamare ki khidki par.
Wo roz padne ata tha apne terrace par..."Ajj pata nahin kyun nahin aya" bas yehi soch rahi thi wo,ki aisa kya hua,fir socha ki shayad wo holi manane mein laga hoga.
Lehar ko holi bilkul pasand nahin thi..isiliye toh wo apne kamare mein band bethi thi....achanak se uska dhyan palta aur dekha ki wo apne doston ke sath upar aya.
Uske chehare par holi ka rang dekh kar lehar ka bhi mann kiya holi khelne ka,par yeh kya wo toh neeche chala gaya????
Kyun,kisliye...aj tak 17 saalon mein wo kabhi nahin aya tha neeche..par shayad aj kuch alag tha.
Fir kya tha lehar ne turant apni dost ko phone lagaya...bade ruthne manane ke baad uski dost maan gayi.
Lehar sirf usko dekhne ke liye ,usse rang lagane ke liye hi holi manane ayi thi.
Par yeh kya,"yahan toh nahin hai",uski dost palak boli.Lehar ki aankon mein mayusi chha gayi,achanak se use wo dikha.........par ek ladki ke sath,dono bade khush the..itne mein awaaz ayi "bhabhi ji rang laga lo na bhaiya ke hatho" yeh sun lehar ke dil ke tukade ho gaye,mano kisi ne usse apne sapne se jaga diya ho.
Badi udaas mann ke sath wo wapis ghar chali gayi aur yehi socha
"barso dube rahe unke pyar mein jinko tha na yakeen hamare hi ikraar par,
ab toh bas iss dil ko talash hai unn nazaro ki jo aakar thamegi hamare ek pukaar par"
Kafi dino se dekh rahi hun ki mere kayi dost apne blogs par aisa kuch likh rahe hai jo unhone bahut pehle likha tha toh mere taraf se bhi kuch aisa jo meine last year july mein likha tha....
"Khuda se maanga tha ek saans udhar ,tumhari ek jahlak paane ke liye..
Tum toh na aaye aee sanam,hume chod diya khuda ka karz utarane ke liye."
Wo kehte gaye pyar hai naam nadani ka,
humne kaha nadaani hi sahi,par kaam hai yeh deewano ka
Wo kehte gaye na kar yeh duniya apni kisi anjaan ke liye
humne kaha naam hi sahi,par yeh saansein hai sirf usi ke liye

bas aise hi zindagi ke safar mein wo kehte gaye aur hum sunate gaye
aaj jab hai na wo saamne hamare to uss dard ne kaha,ki mat kar yaad uss begaane ko
humne kaha begana hi sahi, par pyar hai wo hamare armaano ka
par ho na saka tera wo,to kab tak milegi apne tasavur mein tu
humne kaha ki tasavur hi sahi,maut bhi ruki hai unko ek pal dekhne ko....
Teri uss umang mein peete rahe dard-e-mohabbat
kuch na bata paye aur sehate rahe zakhm e dard
Fir tujhe khone ke darr se di duhayi tujhe tere umang ki
lauta aa hamare pass,warna dekh kurbaani tere pyar ki
itihass ke panno ne waqt ko fir dauharaya
aur dard tha aj unhe mere iss chah par
aj wo the hamare paas,fir bhi na jaane kyun thi dooriyan
dard hasa aur kaha ki kitno ki cheeni tune khushiyaan
dard tha challani mere iss bartao par
aur fir jaana ki kurbaani hai ek naam apni uss chah ka