Pages

Tuesday, June 19, 2012

Tumse milne ki chah mein

Tumse milne ki chah mein har uss raste se guzare.....
jisme dekhte the tumhari hi saaye ko hum doobte hue

Naa jaane kis andhere mein the tum chupe hue
ki apne hi asshiyaane mein dikh na sake...

tarasti gayi aakhein aur bheegte gaye yeh palake
na jaane kahan tha tumhara ehsaas hume uss waqt mein sambhalane ke liye

Sunday, May 27, 2012

ज़र्रा ज़र्रा महकता था तेरी एक  ज्हंकार  से 
सदियाँ बीत गई  अब तो तेरे एक  दीदार से 

रात की चांदनी भी छीन  गई है उन हसीन  तारों से 
की सूरज  भी छिप जाता है उन बादलो के साये में 

कभी तो दिखती हो तुम हमारी उस  तसवुर में 
और कभी तोह गूंजती है तुम्हारी मुस्कान हमारी उन कानों में 

भरी उदासी में तेरा चेहरा देता हमको एक सुकून अपने उस आशियाने में 
तभी तो छलक  रहा है जाम  हमारे उस  पैमाने से 

Tuesday, September 20, 2011

Bhula na Sake...

"Dukh ke saaye itne ho ki gam ko kabhi bhula na sake.......
aur aankhon mein tumhari tasveer yun basi ho ki chah kar bhi tumhe bhula na sake.........."

Friday, August 19, 2011

Mauka..........


"Khuda ne maanga hota mujhse kuch agar....
to apna sab kuch kurbaan kar tujhe maang leti
par diya na mauka mere naseeb ne mujhe.....
warna tere liye mein yeh duniya luta deti"


Monday, July 4, 2011

Chod diye....



"tum door huee jitna....hum utane hi kareeb ate chale gaye
dorr chuthi jo.....usko pkadane ki chah mein behthe chale gaye
mile na jab tum kisi bhi mod par.....toh apni bhi duniya yuhin chode chale gaye"


Saturday, June 4, 2011

Siyah Bakht


"chodte gaye wo nishaan apne yun iss tarah ki jab guzrenge hum toh apna sa lagega har wo zarra

behahte chale gaye yeh aasun har uss nishan par aur hum dekhte hi rahe gaye siyah bakht apna............"

Wednesday, May 18, 2011

Kafila...

"musafir hai hum iss jahan ke...
chal padenge uss rah par apna kafila leke...
manzil mil b gayi toh kya gam hai yaaron...
hawa behti nahi hai koi kinara dekh ke..."