Mekhane the betaab hume ek jaam pilane ke liye.....
aur hum the bekaraar unke deedar ke nashe mein gum ho jaane ke liye
aur hum the bekaraar unke deedar ke nashe mein gum ho jaane ke liye
"Waqt ka koi kona to aisa ho jisse hum tumhari yaadon se bekhabar rakh sake.....
Dil ka koi ehsaas toh aisa ho jisse hum tumhari kami se anjaan rakh sake.....
Tasavuur ka koi pal to aisa ho jisme hum tumhari parchaai ko mehfoos kar sake.....
Zindagi ka koi ek lamha to aisa ho jisme hum tumhe apne passs rok sake..."
kuch log aye kuch log gaye Koi dil ko cho gaya koi dil se hokar guzar gaya yad to bas wo rahe gaye jo apna naam is dil mein likh ke chale gaye
Kabhi kisi ke muskan mein itna mat kho jao ki...... uska gam bhi na dikh sake aur kabhi apne gam mein itna na kho jao ki..... apni muskurahat ko bhi dhund na sake
waqt ke kareeb jakar pata chala ki khoye hue pal kitne hasseeeen the..... aj jab hai nahi wo pal apne pass toh yeh pal khone ka gam kyun hai
tum chaho toh kitna bhi ruth jao humse hum unn lamho ko chura ke sambhal lenge jab hoge nahi kareeb tum hamare toh unn lamho mein hi tumko mana lenge
lagti thi khubsoorat hume yeh duniya uss pal......... jab the sapne tumhare pass hone ke inn ankhon mein....... sachai ki kadwahat ka ehsaas hua uss pal.... jab aankhone mein base wo khawab tute apne hi aasun ban kar....